O Duniya Ke Rakhawaale

NAUSHAD ALI, SHAKEEL BADAYUNI, Naushad, TRAD

Bhagwan, bhagwan, bhagwan
O duniya ke rakhwale, sun dard bhare mere naale
Sun dard bhare mere naale
Aash niraash ke do rango se duniya tune sajaayi
Nayyaa sag tufaan banaya, milan ke saath judaayi
Jaa dekh liya harjaayi
O lut gayi mere pyaar ki nagri, ab to nir baha le
Ab to nir baha le, o ab to nir baha le
O duniya ke rakhwale, sun dard bhare mere naale
Sun dard bhare mere naale

Aag bani saavan ki barsa, phul bane angaare
Naagan ban gayi raat suhaani, patthar ban gaye taare
Sab tut chuke hai sahaare, o jivan apna vaapas le le
Jivan dene vaale, o duniya ke rakhwale

Chaand ko dhudhe pagal suraj, shaam ko dhundhe savera
Mai bhi dhundhu us pritam ko, ho naa saka jo mera
Bhagwan bhala ho tera, o qismat phuti aas na tuti
Paav me pad gaye chhaale, o duniya ke rakhwale

Mahal udaas aur galiya suni, chup-chup hai divaare
Dil kya ujda duniya ujdi, ruth gayi hai bahaare
Ham jivan kaise guzaare, o mandir girta phir ban jaata
Dil ko kaun sambhaale
O duniya ke rakhwale, sun dard bhare mere naale
Sun dard bhare mere naale
O duniya ke rakhwale, rakhwale, rakhwale, rakhwale

Curiosità sulla canzone O Duniya Ke Rakhawaale di Mohammed Rafi

Quando è stata rilasciata la canzone “O Duniya Ke Rakhawaale” di Mohammed Rafi?
La canzone O Duniya Ke Rakhawaale è stata rilasciata nel 2006, nell’album “The Last Journey Of Mohammed Rafi”.
Chi ha composto la canzone “O Duniya Ke Rakhawaale” di di Mohammed Rafi?
La canzone “O Duniya Ke Rakhawaale” di di Mohammed Rafi è stata composta da NAUSHAD ALI, SHAKEEL BADAYUNI, Naushad, TRAD.

Canzoni più popolari di Mohammed Rafi

Altri artisti di Religious