Gulabi Ankhen [From the Train]

ANAND BAKSHI, R. D. BURMAN

Gulabi aankhen jo teri dekhi sharabi yeh dil ho gaya
Sambhalo mujhko oh mere yaaron sambhalna mushkil ho gaya

Dil mein mere khwab tere tasveer jaise ho deewar pe
Tujhpe fida main kyu huwa aata hai gussa mujhe pyar pe

Mai loot gaya maan ke dil ka kaha mai kahi ka na raha kya kahu main dilruba

Bura hai jaadoo teri aankhon ka yeh mera kaatil ho gaya
Gulabi aankhen jo teri dekhi sharabi yeh dil ho gaya

Maine sada chaha yahi daman bacha lu hasino se main
Teri kasam khwabo mein bhi bachta fira nazneeno se mai

Tauba magar mil gayi tujhse nazar mil gaya darde jigar sun zara oh bekhabar

Zara sa haske jo dekha tune mai tera bismil ho gaya
Gulabi aankhen jo teri dekhi sharabi yeh dil ho gaya
Sambhalo mujhko oh mere yaaron sambhalna mushkil ho gaya

Curiosità sulla canzone Gulabi Ankhen [From the Train] di Mohammed Rafi

Chi ha composto la canzone “Gulabi Ankhen [From the Train]” di di Mohammed Rafi?
La canzone “Gulabi Ankhen [From the Train]” di di Mohammed Rafi è stata composta da ANAND BAKSHI, R. D. BURMAN.

Canzoni più popolari di Mohammed Rafi

Altri artisti di Religious