O Rahi
Tanha tanha si thi zindagi
Sab kuch tha fika sa
Char diwaaron ka ye jo makaan hai
Lagta nahi tha ghar sa
Sitaarein bhi mere bujh se gaye the
Raah ka pata na tha koi
Andheron mein bas yun hi chalte gaye hum
Tum banke aaye roshni
O rahi, o rahi
Ab tum hi ho armaan
Mujhe pyar se tumne jo apna liya hai
Kaise chukaun ehsaan
O rahi, mere rahi
Ab tum hi ho armaan
Mujhe pyar se tumne jo apna liya hai
Kaise chukaun ehsaan
Tum na milte toh kya hota
Sochke dil ghabraye
Khushi ke aansu ye
Jodke rakh lun main
Muskaan hontho pe gaye
Ab toh fizayein bhi tasveer si hai
Haathon mein koi rang bhar lun
Fir daaman ko tere ranga kar main
Sar rakh ke so jaun
O rahi, o rahi
Ab tum hi ho armaan
Mujhe pyar se tumne jo apna liya hai
Kaise chukaun ehsaan
O Rahi, mere rahi
Ab tum hi ho armaan
Mujhe pyar se tumne jo apna liya hai
Kaise chukaun ehsaan
Jannat ka sirf naam suna tha
Kya tha pata vo tum hi ho
Chaand se baatein karne lage hum
Khwabon ka dariya ye behne do
O rahi, o rahi
Ab tum hi ho armaan
Mujhe pyar se tumne jo apna liya hai
Kaise chukaun ehsaan
O rahi, mere rahi
Ab tum hi ho armaan
Mujhe pyar se tumne jo apna liya hai
Kaise chukaun ehsaan