Ruk Ja O Dil Deewane

Jatin-Lalit, ANANDSHI BAKSHI

Ruk Ja O Dil Deewane
Poochhoon To Main Zara
Ladki Hai Ya Hai Jaadu
Khushboo Hai Ya Nasha
Ruk Ja O Dil Deewane
Poochhoon To Main Zara
Ladki Hai Ya Hai Jaadu
Khushboo Hai Ya Nasha
Paas Vo Aaye To
Chhoo Ke Main Dekhoon Zara

Ruk Ja O Dil Deewane
Poochhoon To Main Zara

Dekhe Vo Idhar Hanske Bekhabar
Thaamke Dil Hum Khade Hain
Gumsum Si Nazar Uski Hai Magar
Honthon Pe Shikve Bade Hain
Baat Ban Jaaye To
Main Baat Chhedoon Zara

Ruk Ja O Dil Deewane
Poochhoon To Main Zara
Ladki Hai Ya Hai Jaadu
Khushboo Hai Ya Nasha

Sharma Vo Gayi Ghabra Vo Gayi
Maine Jo Usko Pukaara
Ye Dil Le Liya Usne Kar Diya
Aankhon Hi Aankhon Mein Ishaara
Jaan Bhi Jaaye To
Gam Na Karoon Main Zara

Ruk Ja O Dil Deewane
Poochhoon To Main Zara
Ladki Hai Ya Hai Jaadu
Khushboo Hai Ya Nasha

Mehfil Mein Haseen Tu Hi To Nahin
Roothe Tu Kis Liye Akeli
Jis Pe Yoon Fida Ye Dil Ho Gaya
Vo To Hai Teri Ek Saheli
Maan Vo Jaaye To
Baahon Mein Le Loon Zara

Ruk Ja O Dil Deewane
Poochhoon To Main Zara
Ladki Hai Ya Hai Jaadu
Khushboo Hai Ya Nasha
Paas Vo Aaye To
Chhoo Ke Main Dekhoon Zara

Curiosità sulla canzone Ruk Ja O Dil Deewane di Udit Narayan

Chi ha composto la canzone “Ruk Ja O Dil Deewane” di di Udit Narayan?
La canzone “Ruk Ja O Dil Deewane” di di Udit Narayan è stata composta da Jatin-Lalit, ANANDSHI BAKSHI.

Canzoni più popolari di Udit Narayan

Altri artisti di Indie rock