Chote Chote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya [Happy]

MITALEE SHASHANK, RAAM LAXMAN, RAVINDRA RAWAL KI

Chhote chhote bhaiyon ke bade bhaiya
Aaj banenge kise ke saiyaan
Chhote chhote bhaiyon ke bade bhaiya
Aaj banenge kise ke saiyaan
Dhol nagade baje shehnaiyan
Jhoom ke aayi mangal ghadiyan

Bhabhi ke sang holi mein
Rang gulaal udayenge
Bhabhi ke sang holi mein
Rang gulaal udayenge
Aayegi jab jab diwali
Milkar deep jalayenge
Chunri ki kar degi chhaiyan
Hey chunri ki kar degi chhaiyan
Aayegi banke purwaiyan
Hoye chhote chhote bhaiyon ke bade bhaiya
Aaj banenge kise ke saiyan

Jhilmil ho gayi hain ankhiyan
Yaad aayi bachpan ki ghadiyan
Jhilmil ho gayi hain ankhiyan
Yaad aayi bachpan ki ghadiyan
Naye safar mein lag jayegi
Pyar ki inko hathkadiyan
Jachte hain dekho kaise bade bhaiya
Jachte hain dekho kaise bade bhaiya
Ramji bihane chale sita maiya
Hoy chhote chhote bhaiyon ke bade bhaiya
Aaj banenge kise ke saiyan
Dhol nagade baje shehnaiyan
Jhoom ke aayi mangal ghadiyan

Curiosità sulla canzone Chote Chote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya [Happy] di Udit Narayan

Chi ha composto la canzone “Chote Chote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya [Happy]” di di Udit Narayan?
La canzone “Chote Chote Bhaiyon Ke Bade Bhaiya [Happy]” di di Udit Narayan è stata composta da MITALEE SHASHANK, RAAM LAXMAN, RAVINDRA RAWAL KI.

Canzoni più popolari di Udit Narayan

Altri artisti di Indie rock