Suna Hai

Jeet Gannguli / Rashmi Virag

suna hai tere dil pe mera
kahin na kahin naam likha hai
dekho na meri aankhon mein tum
chhipa hai tera khwaab chhipa hai

kaise bataun kitna chahun main tumhe
le ja zarurat ho toh meri dhadkanein
inmein sunayi degi meri khwahishein

rehte hain na yeh humesha rang roop dono
zindagi ka yeh safar hai chhanv dhoop dono
in hawaon mein rahegi teri meri khushboo
tere peechhe main chalungi jahaan jayega tu

suna hai teri taqdeeron mein
tumhara mera mel likha hai
jo aisa hai toh kya darna phir
dekhein toh zara kya hota hai

mar jaane se pehle main jee loon tumhein
le ja zarurat ho toh meri dhadkanein
inmein sunayi degi meri khwahishein

Curiosità sulla canzone Suna Hai di Shreya Ghoshal

Chi ha composto la canzone “Suna Hai” di di Shreya Ghoshal?
La canzone “Suna Hai” di di Shreya Ghoshal è stata composta da Jeet Gannguli e Rashmi Virag.

Canzoni più popolari di Shreya Ghoshal

Altri artisti di Indie