Dil

Lucifer, Vardaan Wig

Dil pe tala lage chalta tha mai chori se vo toota dil chura ho gaya
Agle pal ki baarish mein nam aankhon se bheega ke mai ab bheega reh gaya
Dil mera chura hogaya
Toote dil ke tukde hai sang par mai khud ke sang nahi
Jo sang tha mere pyaar kehke beheka hai kahi
Teri aankhein hi kamaal thi dil dooba tha vahin
Na jaane kaise dooba ki vo mujhse rulgaya

Seene mein hai ye dil mere jo toota hai kahin
Manzil ka ab kuch pata nahi or rooh bhi sang nahi
Jo sang tha mere pyaar kehke beheka tha nahi
Fitrat mein uske dhoka tha mai samjha kyu nahi
Teri niyat hi kharab thi is dil ko na dikhi
Na jaane kaisa pyaar tha jo pal mein bik gaya
Dil pe tala lage chalta tha mai chori se vo toota
Dil chura hogaya

Na tala tha na tale mein tha dil
Aankhein dhoondhe bas bawari si manzil
Bawari si manzil peeche toota mai kahin
Jab tukde jode rooh ke sang fir saansein mil gayi
Ab beparwah sa fir raha mai khud ke sang yaha
Jo sang tha mere daur mein vo dil bhi hai yaha

Dil dekh ke aakhein jhoom rahi or saansein gaa rahi
Haan saansein gaa rahi
Ki tala lage chalta tha mai zori se vo toota
Mai khudse milgaya.
Haan khudse milgaya

Curiosità sulla canzone Dil di Lucifer

Chi ha composto la canzone “Dil” di di Lucifer?
La canzone “Dil” di di Lucifer è stata composta da Lucifer, Vardaan Wig.

Canzoni più popolari di Lucifer

Altri artisti di Heavy metal music