SURAT E HAAL

Syed Bilal

Raaton mein neend nahi din bhar aankhon ke samne andhera chhaye
Kya haal ab kaisi ho mere sawal
Kyun janoge tum meri qaifiyat kya hai
Dar o deewar hain ghoorte
Ghar ki khamoshi khane ko aaye
Peecha na chhorte yaadon ke saaye
Mere sabr ka maula gawah hai

Bandi hai fan voh mujhko meri hi linein sunaye
Launde hain crazy mere mujhe phones pe linein karayein
Mera saga hi kaun ghumo ki siwaye
Kaun hath badhaye, kaun pass bithaye
Gale se lagaye kaun, mujhe kaun hi bachaye
Kahan ki hawayein kahan ko lejayaein you never know

Mujhse ho rahi nai baatein i'd better go
Ab teri aankhon mein dikhe insan nahi voh
You've changed for good, tu chali gayi dur
Main aaj bhi in galiyon mein milunga im still hood
Main dhuyein mein dikhun bhi na
Main dhundu toh milega khuda tu milegi na
Yeh ghum e sham kabhi dhalegi na

Yeh mera zawal hai kya
Main gata rahun nashe mein sari raat
Dekho is lash mein bacha bilal hai kya
Hum dono toh ek hi the, tha hum mein nai farak koi
I hope that you find your way back jab dikhe na rah kisi taraf koi

Ek umar guzardi aas mein
Ke kabhi main uthunga tere na hone ke khwab se
Tu sar sehlake kahegi ke main dur kyun jaungi aap se
Mujhe hogi qubool is mauqe pe maut bhi
Jo sath na mila is safar mein tera
Ab tu meri mazil tu shauq bhi

Raaton mein neend nahi din bhar aankhon ke samne andhera chhaye
Kya haal ab kaisi ho mere sawal
Kyun janoge tum meri qaifiyat kya hai
Dar o deewar hain ghoorte
Ghar ki khamoshi khane ko aaye
Peecha na chhorte yaadon ke saaye
Mere sabr ka maula gawah hai

Raaton mein neend nahi din bhar aankhon ke samne andhera chhaye
Kya haal ab kaisi ho mere sawal
Kyun janoge tum meri qaifiyat kya hai
Dar o deewar hain ghoorte
Ghar ki khamoshi khane ko aaye
Peecha na chhorte yaadon ke saaye
Mere sabr ka maula gawah hai

Curiosità sulla canzone SURAT E HAAL di Lowkey

Chi ha composto la canzone “SURAT E HAAL” di di Lowkey?
La canzone “SURAT E HAAL” di di Lowkey è stata composta da Syed Bilal.

Canzoni più popolari di Lowkey

Altri artisti di