Kahi Janaab Ko Mera Toh Intezaar Nahi

tha inezaar jiska woh raat aa gayi hain - 2
dulha miya kaha hain baraat aa gayi hain
ulajhe hue hai saahib uljhan ko dhundhate hain
mehfil mein doston ki dushman ko dhundhate hain

nashe ka jhonka hai woh nazar ka dhokha hai woh - 2
huzoor (aayega woh jarooor ) aayega woh
magar woh ??? na aansu ka ho yaha
kisi pe kya hai yakeen kahi woh main toh nahi - 2
kutch aitbaar nahi
kahi janaab ko mera toh intezaar nahi - 2
kisi pe kya hai yakeen kahi woh main toh nahi - 2
kutch aitbaar nahi
kahi janaab ko mera toh intezaar nahi - 2

nazar udaas hain kyun labon pe pyas hain kyun - 2
uthaaon jaam piyo usi ke naam piyo
gujarne do yeh ghadi badi hain raat padi - 2
ke thodi der mein woh kahega aake suno
tumhe karaar nahi
kahi janaab ko mera toh intezaar nahi - 2

yeh ameer aur gareeb jara se aaye kareeb - 2
toh koi baat bane meri baraat bane
yahi toh soch ke ha main aa gaya hu yahaan - 2
yeh meri bhool sahi galat asool sahi
main sharmasaar nahi
kahi janaab ko mera toh intezaar nahi - 2

mera jo haal hai ab kiya hai tumne yeh sab - 2
tumhara kaam hai yeh ke intekaam hai yeh
diya hai tumne mujhe wahi main dungi tujhe - 2
yahi hai ??? mera
khiza hai naam mera ke main bahaar nahi
kahi janaab ko mera toh intezaar nahi - 2
kisi pe kya hai yakeen kahi woh main toh nahi
kutch aitbaar nahi
kahi janaab ko mera toh intezaar nahi - 2

Canzoni più popolari di Lata Mangeshkar

Altri artisti di Film score