Hans Hans Ke Haseenon Se Nazar

hans hans ke haseenon se nazar chaar kiye ja
jo bhi kare pyaar use pyaar kiye ja -2

(ye zulf ye abaru ye lachakati hui baanhen
bijali si giraati hui khaamosh nigaahen) -2
hai taaqat-e-deedaar to deedaar kiye ja
hans hanns ke ...

(laazim hai muhabbat mein lagaavat bhi ada bhi
ulfat mein mile kuch to tadapane ka maza bhee) -2
iqaraar kiye ja kabhi inkaar kiye ja
hans hanns ke ...

har ek ada husn ki aankhon mein basa le
seene mein zara ishq ka toofaan jaga le
soyi hui taqadeer ko bedaar kiye ja
hans hanns ke ...

Canzoni più popolari di Lata Mangeshkar

Altri artisti di Film score