Iltaja
Sapne jo dekhe hain
Poore hongey woh
Apni bhi aankhon se
Gar thum unko dekho
Chaahat kaise meri
Rang laayegi yahaan
Gar waade tootenge toh
Banegi kaise daastaan
Jo bhi kadam tum lena rakhna
Zehen mein apne soch
Kya aayega humaare kaandhon par
Beetey kal ka bojh
Humein jeena
Hai iss dharti par
Yehi hai ghar
Khyaal rakhnaa
Humein jeena
saans hai lena
Yaheen par
Yaheen par
Ek yehi toh hai ghar
Karte hain hum sari
duniya se iltajaa
Jo chhod ke tum jaaogey
Wohi humko milega
Humse jo hai muhabbat
Toh itna Kar jaana
Dharti, hawaa aur paani,
Se kamm lo harjaana
Jo bhi kadam tum lena rakhna
Zehen mein apne soch
Kya aayega humaare kaandhon par
Beetey kal ka bojh
Humein jeena
Hai iss dharti par
Yehi hai ghar
Khyaal rakhnaa
Humein jeena
saans hai lena
Yaheen par
Yaheen par
Ek yehi toh hai ghar
Humein jeena
Hai iss dharti par
Yehi hai ghar
Khyaal rakhnaa
Humein jeena
saans hai lena
Yaheen par
Yaheen par
Ek yehi toh hai ghar
Sapne jo dekhe hain
Poore hongey woh
Apni bhi aankhon se
Gar thum unko dekho