Tanha
Tu rakh teri bheekh jo hai tera pyaar,
Mai teri yaad samete chala.
Baahon mein teri chhalave dikhaake,
Mujhe phasati hai tu bewajah.
Chhode 20 miss call, you left me on seen,
Ab na hoti baatein hai zyada.
Har ghadi din ginta, bas teri chinta,
Na jaane kyu tujhse juda tha.
Dil mera toota, behta samandar,
Saamne hua andhera.
Mai chaahta aisi duniya
Jaha tu ab bhi mera savera.
Tu na milati hai aankh se aankh,
Par saamne tera hai chehra.
Pyaar tu mera tha pehla,
Ab mere ghaav ko kaatta gehra.
Kahi door kinare pe waqt bitata.
Mehsoos karu tujhse zyada.
Phir bhi hai yaad pukaarti,
Dil mein tujhe dhundh na paata.
Tu gumshuda, Anamika,
Gumnaam hi tha woh pal jo
Beet gaya, ab kya bacha?
Na pata.
Hook
Teri yaadein satati, mai jaagta rahu,
Kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
Yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti,
Bata mai kya karu?
Bata mai kya karu?
Teri yaadein satati, mai jaagta rahu,
Kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
Yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti,
Bata mai kya karu?
Bata mai kya karu?
Verse 2
Aakhein kholta mai
Par ab bhi sapno mein,
Saansein le raha hu
Apne inn zakhmo se.
Kitni raatein kaati thhi humne baaton mein,
Ab bas ek nagma tu panno pe.
Teri jagah tune kho di hai,
Bharte ghaav mere jo bhi hai.
Ab teri aakhein bhi nahi bolti,
Jo meri yaadein bol deti hai.
Beparda, berehem, befikar,
Mai kab se baitha hu besabar.
Chaahta teri ek nazar,
Na roshni yaha.
Hook
Teri yaadein satati, mai jaagta rahu,
Kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
Yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti,
Bata mai kya karu?
Bata mai kya karu?
Teri yaadein satati, mai jaagta rahu,
Kyu aati khayaalon mein baar baar tu?
Yeh chaahat gunaahi, saza mujhko deti,
Bata mai kya karu?
Bata mai kya karu?