Adhura

VERSE 1
roshni se jaga mausam aisa bana
coste bhi chala os se kya barsa boond main

sip naseeb ki dhundhne kya hain ye mere khoon mein
jo dara naa main krur se per thera naa sukoon se

kar matt kala karte main chala
parvat chada jab jadd se main sar tak data
fars jo bana arsh alawa
jana nahi badte kal mein ya phir kar bas fana

har saase jo bhare ehsaas se
ki bade fasle jo abhi savle
per kabhi saaf the kya khara marg ye
haa kalakaar main jhuka na bhaar se

adhura aadha mann hain shamil bhaag dusra jo kaatil
thukra ke kaabiliyat ghum raha mein dakhil
chub raha tha nakab bhi jab khud se main waqif
puch raha tha khwabon se phir main bana muntazir

haa mere laksh ka rakshak main
jaake lada jhute waqt se
khud hi mein do bane shaqs the
To kabhi shaq mein ek toh kabhi haq se ek

muktadar ke dar dastak de
ghadi kahe badal mastak se
tune thana tera maksat ye
kadam badte deekh
bade ho sach ke seher

*Drop*

VERSE 2

Phir aaye ek masoom sa mann
aakhon mein aasu per deekhe lagan,
mehnat, najuk jakad uske haathon mein
tajuk mein pal lakhon se alag magan

kaise chaai kaali ghatayi jo tanhai mein laayi
ek parchhaai hain parayi lage
per jo aayi, sehke aapnayi
saari bharpaai kardi thi per tan mein samaayi

wajah jaane begair woh jo chutta
gid gidate huye tutta
kirne aate hi woh chuppa
phir bhi baad aaye phir ke badhaaye
dil ki baate dil daboja
toh kaise puchke ladne khudse ladke
main kya rehta khush ha

raah chuni maine yaha kiski soch naa
dono apne jagah pe sahi kiska dosh na
mehfil bhari ye dil se main tha adhura
Tab jaag utha toh jana kitna dur tha

*Drop*

Canzoni più popolari di Feel

Altri artisti di Pop rock