Iss Tarah
yeh ishq nahin hai aasaan
itna toh samajh hai aata
tu aag ka dariya hai
mujhe tairna nahi aata
mujhe tairna nahi aata
tujhe doobna nahi aata
yeh shehar meri ulfat ka
woh shehar teri gaflat ka
tu raat ka suraj hai
mujhe jaagna nahi aata
mujhe jaagna nahi aata
tujhe ghuroobna nahi aata
tere mere taare
mile, mile na re
chhat toh hai chhat se judi o
chaand bhi chhup jaaye
haathon mein naa aaye
khidkiyan to hai khuli
o.. iss tarah hum ghalat
hum ghalat, hum sahi
har jagah
har taraf, har tarah hain hum hi
o
yeh ishq nahin hai aasaan
itna toh samajh hai aata
tu aag ka dariya hai
mujhe tairna nahi aata
mujhe tairna nahi aata
tujhe doobna nahi aata
tu ret si haathon se
aisi phishal jaati hai
mujhe rokna nahi aata
tujhe theharna nahi aata
tu sarphiri hawaaon mein
phirki si kyun phiri jaaye
mujhe baandhna nahi aata
tujhe thaamna nahi aata
o.. teri meri raahein
mile mile na re
takreyengi toh kabhi
o
raste bhatak jaayein
galiyan badal jaayein
badlenge dil na kabhi
o iss tarah
hum ghalat, hum ghalat, hum sahi
har jagah
har taraf, har tarah hain hum hi
yeh ishq nahin hai aasaan
itna toh samajh hai aata
tu aag ka dariya hai
mujhe tairna nahi aata