Main Hu Tu Ho
palkein jhuka ke
tum paas aaye
phir kaise koi
naina milaaye
dil ki kahaani
dil hi chhupaye
main yeh na jaanu
kyu na jaanu
jab bhi main sochun
wo teri baatein
kyun tham sa jaaye
ye saara jahan
har pal ye chahun
tu paas aaye
doori na ho koi darmiyaan
main hu tu ho
aur na ho koi
aa pyaar baant le zara
kal ye pal ho nahin
Oooh
dil ki palkein na jhukana
dhadhkanon ko na badhana
dil se dil ki baatein hone do
raaz koi na rehega
saaz koi na bajega
gehre pakke nate hone do
maan lo tham gaya
hawaaon ka jo zor tha
jaan lo ruk gaya
tufaano mein jo zor tha
main hoon tu ho
aur na ho koi
aa pyaar baant le zara
kal ye pal ho nahin
aasman ke saare taare
dekh ke ye tujhko saare
Dekhte hi reh jaatein hain kyun
Behti yeh thandi hawayein
Tujhko jab yeh chooke jaayen
Phir se choone aate hai yeh kyun
Har rasta
tere raaho pe mudne laga
Har vasta
tere saanso se judne laga
main hoon tu ho
aur na ho koi
aa pyaar baant le zara
kal ye pal ho nahin
oooh