Yeh Khushi Ki Mehafil

na jaane kyu na jaane kyu
ye khushi ki mehafil dhadakta hai dil na jaane kyon
in hazaaron mein sanam tumhi ko diya dil na jaane kyon
tumhein chaah ke mere haseen kuch aur phir chaaha nahi
haal ye hua jaane kyon
ye khushi ki mehafil ...

ji mein jo aaye karo itna magar dekh lo
haathon mein hai jo haath vahi armaan ka qaatil na ho
haay alla teri nazar zakhmi hai mera jigar
qaatil dil ke mere kahi tu hi mera dil na ho
ho tera shabaab khilata rahe jaadu tera chalta rahe
hain dua meri jaane kyon
in hazaaron mein ...

mehafil ko roshan karo kuch aur bhi rang bharo
aaisa bandho samaan koi hosh mein na rahe
darta hu is pyar par kal ko hansi na ye log
do pal ki ye khushi ban jaaye jeevan ka rog
ab to sanam chaha tumhein ab log jo chahe kahe
dil diya to phir darna kyon
ye khushi ki mehfil ...

Canzoni più popolari di Alka Yagnik

Altri artisti di Indie rock